Ho....chehra hai ya chand khila hai Zulf ghaneri shaam hai kya Saagar jaisi aankhon vaali Ye to bataa tera naam hai kyaa....
Are...tu kya jaane teri khaatir Kitna hai betaab ye dil Tu kya jaane dekh raha hai Kaise kaise khwaab ye dil.... Dil kehta hai tu hai yahaan to Jaata lamha tham jaaye Waqt ka dariya behte behte Is manzar mein jam jaaye Toone deewana dil ko banaaya Is dil par ilzaam hai kya Saagar jaisi aankhon vaali Ye to bataa tera naam hai kyaa....
Ho.....aaj main tujhse door sahi Aur tu mujh se anjaan sahi Tera saath nahin paoon toh Khair tera armaan sahi Yeh armaan hain shor nahi ho Khamoshi ke mele ho Is duniya mein koi nahi ho Hum dono hi akele ho Tere sapne dekh raha hoon Aur mera ab kaam hai kya Sagar jaisi aankhon waali Yeh toh bata tera naam hai kya....
Movie/Album name: Beautiful
Movie Summary:Beautiful (2011) is a Malayalam drama directed by V. K. Prakash about a young man's relationships and emotional struggles, with the song "Chehra Hai Ya" being a resung version of the classic Hindi song originally from the 1985 film Sagar.
Song Credits:
- Original song from Sagar (1985): Music by R. D. Burman, lyrics by Javed Akhtar, originally sung by Kishore Kumar and Lata Mangeshkar
- Resung version (2011): Featured in the Malayalam film Beautiful
Musical Style: Hindi film song in a melodic, romantic style with orchestral accompaniment, retaining the original's nostalgic ballad feel.
Raga Details: Information not available.
Key Artists Involved: Information on the specific singers/arrangers of the 2011 resung version is not available.